-->

आपके समर्थन से, हम और अधिक बेहतर सामग्री बना सकते हैं। कृपया Ads पर क्लिक करे और अपना प्यारा सा लिखा हुआ शायरी और कोट्स हमारे कमेंट पर लिखे | आपके सहयोग और सपोर्ट से पेज आज तक चल रहा है ऐसे ही सहयोग बनाये रखे |

Mohabbat Shayari in Hindi

Mohabbat Shayari in Hindi

Mohabbat Shayari in Hindi-Capsule Shayari
Mohabbat Shayari in Hindi
Mohabbat Shayari
Kabhi Mohabbat Karo Toh Hum Se Karna,
Dil Ki Baat Juba Par Aaye Toh Hum Se Kahna,
Na Kah Sako Toh Aankhein Jhuka Lena,
Hum Samajh Jaayenge Hamein Kuchh Na Kahna…
Mohabbat Shayari
Churakar Dil Toh Mera Woh Bekhabar Se Baithe Hain,
Milate Nahi Najar Nahi Humse Woh Chat Par Aan Baithe Hain,
Dekh Kar Humko Kitab Se Mooh Chhipakar Baithe Hain,
Unhein Khud Nahi Maalum Ki Woh Kya Kar Baithe Hain…
Mohabbat Shayari
Mana Ki Tumhein Mujhse Jyada Gham Hoga,
Magar Rone Se Yeh Gham Kabhi Na Kam Hoga,
Jeet Hi Lenge Dil Ki Nakam Baaziyan Hum,
Agar Mohabbat Mein Hamari Dam Hoga….
Mohabbat Shayari
Khata Pahli Samajh Kar Maaf Kar Dena,
Raah E Wafa Mein Ho Jaaye Jo Gunaah Hamse,
Mohabbat Ki Hadein Paar Kar Chuke Hain Sanam,
Phir Kaise Hain Dilbar Yeh Parde Hum Se….
Mohabbat Shayari
Nibhaoge Tum Kasmein Yeh Wada Na Karo,
Mohabbat Humse Itni Jyada Na Karo,
Dekhe Hain Maine Bhi Daur Tabahi Ke,
Aur Hamein Sataane Ka Irada Na Karo…
Mohabbat Shayari
Zindagi Se Sabhi Ko Mohabbat Hai,
Par Zindagi Kisi Ki Mohabbat Nahi Banti,
Tamanna Le Kar Jeete Hai Sab Log,
Magar Har Tamanna Taqdeer Nahi Banti…
Mohabbat Shayari
Zindagi Hasin Hai Zindagi Se Pyaar Karo,
Hai Rat To Subah Ka Intzar Karo,
Wo Pal Bhi Ayega Jiska Intzaar Hai Aap Ko,
Rab Pr Bhrosa Or Waqt Pe Aitbar Rakho…
Mohabbat Shayari
Nigahon Par Nagahon Ke Pher Hoten Hai,
In Nigahone Ke Ghav Bhi Gehare Hoten Hai,
Jane Kyon Kosten Hain Hum Badsurato Ko,
Barbad Karne Wale To Haseen Chehare Hi Hote Hai…
Mohabbat Shayari
Sitaron Ki Mahfil Dekhkar,
Pyar Ki Mahfil Yaad Aati Hai,
Chand Ko Falak Mein Dekhkar,
Mahboob Ki Yaad Aati Hai….
Mohabbat Shayari
Abke Baras Woh Nahi Aaye Bahar Mein,
Gujrega Ab Ek Baras Intezar Mein,
Tute Dil Mein Teri Mohabbat Tera Khyal,
Khush Rang Ho Bahar Ke Gujri Bahar Mein…
Mohabbat Shayari
Chand Lamhe Hamein Pyar Ke Udhar De De,
Ki Marne Se Pahle Hamein Jhuta Karar De De,
Kuchh Der Hi Teri Yaad Mere Dil Se Mit Jaaye,
Yahi Soch Kar Tu Thoda Sa Sharab De De
Mohabbat Shayari
Ishq Mohabbat Toh Hazaron Karte Hain,
Gham E Judai Se Woh Sabhi Darte Hain,
Hum Toh Na Ishq Karte Hain, Na Mohabbat Karte Hain,
Hum Toh Bas Dosto Ki Ek Muskurahat Par Marte Hain….
Mohabbat Shayari
Kismat Se Apni Sabko Sikayat Kyu Hoti Hai,
Jo Nahi Milta Usi Se Mohabbat Kyu Hoti Hai,
Kitne Khade Rahte Hain Raahon Mein Dil Ki, Fir Bhi,
Dil Ko Usi Ki Mohabbat Kyu Hoti Hai…
Mohabbat Shayari
Jab Mohabbat Ki Daastan Dil Sunayega,
Humko Koi Bichhuda Sathi Yaad Aayega,
Hum Bhool Jaayenge Zindagi Ke Ghamon Ko,
Jab Saath Gujra Vakt Yaad Aayega…
Mohabbat Shayari
Abhi Abhi Toh Aaye Ho Eh Mere Hamdam,
Aur Abhi Jaane Ki Baat Karte Ho,
Yeh Kaisi Hai Sanam Mohabbat Aapki,
Aap Dil Dukhane Ki Baat Karte Ho….
Mohabbat Shayari
Is Liye Karta Nahi Yeh Mohabbat Kisi Se,
Judayi Yaar Ki Is Se Sahi Jaayegi Nahi,
Koi Puchh Baitha Jo Sabab Hamare Rone Ka,
Dastaa Pyar Ki Bhi Kahi Jaayegi Nahi…
Mohabbat Shayari
Humne Toh Bas Itna Hi Sikha Hai Dosto,
Raah E Mohabbat Mein Kabhi Kinara Nahi Milta,
Jo Mil Jaaye Is Raah Par Kabhi Yaar Se,
Woh Jakham Kabhi Bhi Fir Dobara Nahi Silta…
Mohabbat Shayari
Chhod Do Tanhai Mein Mujhko Yaaro,
Saath Mere Rahkar Kya Paaoge,
Agar Ho Gayi Aapko Bhi Mohabbat Kabhi,
Sagar Ki Tarah Tum Bhi Pachhtaoge…
Mohabbat Shayari
Bas Itna Hi Bahut Hai Hamare Liye Eh Ajij Mere,
Ki Aapki Jubaa Par Naam Hamara Aaya Toh Tha,
Aapne Bhi Ki Thi Hamse Mohabbat Eh Yaar Mere,
Sagar Ke Dil Ko Kabhi Mohabbat Mein Dhadkaya Toh Tha….
Mohabbat Shayari
Karoge Yaad Tum Yaro, Ki Sagar Kahta Tha Kabhi,
Doulat Aur Mohabbat Ka, Na Kabhi Bhi Mel Hota Hai,
Hoti Hai Jinke Liye Doulat Hi Sab Se Badhkar,
Unke Liye Toh Yeh Mohabbat, Fakt Ek Khel Hota Hai…
Mohabbat Shayari
Yeh Bhi Na Kah Paaye, Ki Tumse Mohabbat Karte Hain,
Tumhare Liye Hi Jeete Hain, Tumhare Liye Hi Marte Hain,
Kitni Mohabbat Karte Hain Yeh Toh Dil Hi Jaanta Hai,
Magar Na Kahenge Kisi Se, Ki Akele Aahein Bharte Hain…
Mohabbat Shayari
Yeh Mana Ke Mohabbat Karna Hai Jurm Magar,
Yeh Jurm Yaaro Baar Baar Karte Hain Hum,
Woh Bewafa Hai Sangdil Hain Jaante Hai Magar,
Unpar Yaaro Aaj Bhi Aitbaar Karte Hain Hum…
Mohabbat Shayari
Kaise Samjhaun Main Apne Nadan Dil Ko,
Yeh Galti Se Aisi Himakat Kar Baitha,
Bahut Roka Maine Isko Aisa Karne Se,
Magar Na Jaane Kyun Mohabbat Kar Baitha…
Mohabbat Shayari
Kudrat Ka Yeh Usul Hai,
Ki Aana Jana Hai Bari Bari,
Kya Karenge Yaaro Woh Mohabbat,
Jinko Sirf Dhan Daulat Hai Pyari…
Mohabbat Shayari
Unko Malum Nahi Hai Mohabbat Ka Matlab Shayad,
Is Mein Toh Begano Ko Bhi Apna Liya Karte Hain,
Khud Bhale Kitne Bhi Gham Pade Sahne Magar,
Doosron Ko Bas Khusi Hi Diya Karte Hain…
Mohabbat Shayari
Are Aap Kyun Nahi Samajhate Ho Sanam,
Dil Ka Dard Dabta Nahi Hai Dabane Se,
Aapko Mohabaat Ka Ijhaar Karna Hi Padega,
Kyunki Mohabaat Chhupti Nahi Hai Chhupane Se…
Mohabbat Shayari
Roothe Huye Hain Jo Humse,
Hum Unko Khud Hi Mana Lenge,
Soyi Huyi Apni Kismat Ko,
Hum Fir Se Yaaron Jaga Lenge…
Mohabbat Shayari
Mohabbat Humne Bhi Ki Thi,
Magar Tumko Batayein Kya,
Mile Hain Gham Hamein Ismein,
Magar Tumko Sunayein Kya…
Mohabbat Shayari
Hamne Toh Apni Mohabbat Ka Ijhaar Kiya,
Magar Usne Fir Bhi Na Hamara Eitbaar Kiya,
Sagat Toh Jahan Se Lada, Ek Uski Khatir,
Us Bewafa Ne Sikwa Fir Bhi Hazaar Kiya…
Mohabbat Shayari
Ek Tere Chale Jaane Ke Baada Hamein,
Kisi Ka Bhi Yahan Eitbaar Na Raha,
Aur Kisi Se Toh Kya Karenge Mohabbat,
Jab Apni Hi Zindagi Se Pyar Na Raha…
Mohabbat Shayari
Hamne Bahut Dekhi Hai Yeh Duniya,
Yeh Kisi Ko Jeene Bhi Nahi Deti Hai,
Aap Khule Aam Kahte Hain Karenge Mohabbat,
Yeh Toh Jakhamon Ko Seene Bhi Nahi Deti Hai…
Mohabbat Shayari
Log Aksar Puchhte Hain Tumhaare Baare Mein,
Magar Hum Apni Kahani Sunayen Kyu,
Hamari Mohabbat Ko Poojenge Tum Dekhna,
Magar Hum Apni Jubani Batayen Kyu…
Mohabbat Shayari
Ek Din Aap Hamein Hi Chahoge Dekh Lena,
Hum Khuda Se Aapko Maang Laayenge Dekh Lena,
Shayad Aapko Hamari Mohabbat Ka Ehsas Nahi Hai,
Aapse Hi Iska Izhaar Karvaayenge Dekh Lena…
Mohabbat Shayari
Mohabbat Mangi Thi Mohabbat Ke Badle,
Tum Woh Bhi Humko De Na Sake,
Dil Ko Chaha Jab Kahin Aur Bahlana,
Is Baat Ko Bhi Tum Sah Na Sake,
Mohabbat Shayari
Hum Kisi Ko Apna Banayein Yahan,
Shyad Yeh Kismat Ko Manjoor Nahi Tha,
Aapka Is Kadar Ruthna Humse,
Shayad Yeh Mohabbat Ka Dastoor Nahi Thaa…
Mohabbat Shayari
Hum Khud Hi Chhod Denge Teri Duniya Eh Dost,
Bas Do Char Sanso Ki Aur Ijajat De Do,
Bhale Karna Nafrat Magar Kuchhh Lamhon Ke Liye,
Mohabbat Ka Bharm Toh Rahe Itni Mohabbat De Do…
Mohabbat Shayari
Aap Humko Aise Mat Dekhiye,
Kahin Humko Mohabbat Na Ho Jaaye,
Aap Toh Muskura Kar Chale Jaaoge,
Is Dil Ko Musibat Na Ho Jaaye…
Mohabbat Shayari
Hamari Mohabbaat Ki Baat Kuchh Is Tarah Se Faili,
Ki Har Ek Ki Labon Par Yeh Jubaani Ho Gayi,
Saagar Ne Toh Kiya Tha Aapse Sacha Pyar Magar,
Is Ki Mohabbat Ki Aaj Dekho Kahani Ho Gayi…
Mohabbat Shayari
Na Jaane Yeh Kaisa Hai Mola, Dastoor E Mohabaat,
Woh Door Rahkar Bhi Dil Ke Karib Rahta Hai,
Har Koi Jaanta Hai Milenge Ismein Jakham, Fir Bhi,
Har Koi, Yaar Ka Diya Dard, Hans Kar Sahta Hai…

You may like these posts

  1. To insert a code use <i rel="pre">code_here</i>
  2. To insert a quote use <b rel="quote">your_qoute</b>
  3. To insert a picture use <i rel="image">url_image_here</i>

Opening an Upstox account is easy-peasy. All you need is your PAN + Aadhaar. You can sign-up online using my link within the next 7 days